Hum bachchon ki Subhah ka alam na poochon mere yaar
Meethi neend se utha kar mummy karti hai mujhe taiyaarSaarey ad wale poushtik naashtey baney hai usey khana hai
Phir ein khandhon par bhari Bastey utha kar school jaana hai
Dursey school se hume achche dikhna hai
To ein Bachcho se sab kuch karana hai
Gaane gavana hai, Naach nachana hai
Craft Seekhana hai, Quiz karana hai
Jaane kya kya aur activities karana hai
Aur padhai ka pressure banaye rakhna hai
School se thake jab ghar laute to ghar ka mahol bhi suna suna hai
Kya karey humarey aaram ke liye Mummy, Papa dono ko kamana hai Khud apne khana garam karke khaate hai
Aur dher saare homework khatam kartey hai
Phir jab waqt miley to kahan koi saath Khelte hai
Apne saare yaar dost aaj kal online hi batiyate hai
Mummy Papa sham ko ghar laut to aate hai
Par apne hi duniya main khoye rehtey hai Maa khana banane mai mashroof
Papa news dekhne mai mashroof
Phir jab Maa serial dekh kar aansoon bahati hai
Tab Papa ko wassup ki chatting khub bhaati hai
Phir khaane ke baad hoti hai humare sone ka Intezaar
Jaane yeh ab kya karne ke liye hai yeh dono bekaraar
Bas yuhin gazarta hai humara bachpan mere yaar
Badon ke bheed main tanha reh jaate hai har baarKise sunaye hum apni dil ki baatien do chaar
Yahaan to sab apni hi duniya main mashroof hai yaar
Har din kai Anubhav aur kai sawaal khade hote hai
Jab apno se jawab na mile to Google kaam aati hai Par Internet humey kai aur cheezey sikhati hai
Jo humare Mummy Papa ko Kabhi raas nahi aati hai
Poochtey hai yeh sab seekhey kahan se
Arey bhai aapki favourite movie aur serial se
Kya sahi kya galat hum kaise jaan payengey
Jab aap kabhi khul ke nahi batayengey
Phir kehtey ho Bachchey jaldi Masoomiyat kho detey hai
Hume kya pata Masoomiyat kis chidiya ko kehtey hai Tum sanskari nahi rahe bas yahi baat kehtey rehtey ho
Par achche sanskar sikhaney ke liye waqt kab nikalte ho
Bas kuch is tarah humne apni bachpan kho di
Who ladakpan ke saare masoom lamhe kho diBas itni si guzarish hai mere dil ki e doston
Woh khoyi hui bachpan mujhe lauta do doston
Aapki kai Khwaieshien, kai umeedien hai mujhse . . .
Par meri khwaiesh bas chand lamhe hai aapse
Chand lamhe jo hum saath kuch is tarah guzarey
Ke woh lamha sadiyon tak humey yaad rahe
Chand lamhe jab main jee bhar kar baat karoon
Apney school aur doston ke kissey aap ko sunaoon
Chand lamhe jahan waqt tham si jaye
Jab aap aur hum khul ke muskuraye
Bas yeh chand lamhe khwaiesh hai meri
Kahin kho na jaye is bheed baad mai Bachpan humariMummy, Papa aap sunate rehtey ho apne bachpan ke kisse har baar
Jo aap ko mili, kabhi hum par bhi lutao who bachpan ka Dulaar
Woh thapkiyan woh loriyan jo aapko sulati thi
Woh jhoole, woh galiyan woh khule maidaan
Woh bachpan ke Khel Khud aur khel ki thakaan
Waqt aur ashaaon se peechey bhagtey bhagtey thak gaya hoon
Ab thode der aapki godi main sar rakh kar sona chahta hoonVaada karta hoon aapki har umeedon par khara utrunga
2 comments:
Superb and very true to today's life... today's kids are so much busy with these gadgets that they've lost the childhood....
Awesome!!! Outstanding.....touched to the core of my heart and sole...
Bitter truth of present scenario....
Post a Comment